Wah Re Khuda Teri Khudayee,
Kya Tune Duniya Banayee.”
Bhinn-2 Mausam Banaye,
Sabhi Insan Ke Kaam Me Aaye,
Pal Me Dhoop Pal Me Chaon,
Insaan Ki Zaroorat Ke Anuroop.
“Wah Re Khuda Teri Khudayee,
Kya Tune Duniya Banayee..”
Ek Chand Or Ek He Suraj,
Dono Ki Roshni He Alag,
Suraj De Garmi,
Chand Ki Roshni Thandak Phelaye.
“Wah Re Khuda Teri Khudayee,
Kya Tune Duniya Banayee…”
Aftab Ki Roshni Phool Khilaye,
Or Mehtab Ki Roshni Man Ko Bhaaye,
Dono Ki Roshni Zuda-2 Kaam Me Aaye.
“Wah Re Khuda Teri Khudayee,
Kya Tune Duniya Banayee..”
Hawa, Paani, Roshni,
Phal, Phool Or Gizaaye,
Ye Nematein Khuda Ne Banayee,
Insaan Ki Zaroorat Me Aaye.
“Wah Re Khuda Teri Khudayee,
Kya Tune Duniya Banayee.”
Zamin Par Tune Insan Banaye,
Zuda-2 Sabki Shaklein Banayee,
Koi Kala To Koi He Gora,
Koi Patla To Kkoi He Mota,
Par Koi N Koi Khoobiyan Banayee.
“Wah Re Khuda Teri Khudayee,
Kya Tune Duniya Banayee.”
Insaan Ke Zism Ko Dekho,
Ek Gazab Ki Machinery Banaaye,
Do Ankh Me Roshni Dekar,
Or Kaano Se Aawaz Sunaaye,
Haathon Me Taakat Dekar,
Peron Se Lambi Doori Te Karwaayee.
“Wah Re Khuda Teri Khudayee,
Kya Tune Duniya Banayee.”
Khuda Ki Khudayee Ko Pehchan “Aadi”
Usi Ne Teri Zindgi Banaaye…..
“Wah Re Khuda Teri Khudayee,
Kya Tune Ajab-Gajab Duniya Banayee.”