Woh Kahega-Muskurao
To Ada Se Muskura Dena.
Woh Kahega-Rowo
Khamoshi Se Aansoo Baha Dena.
Woh Kahega-Chalo
To Bholi Gaaye Ban Uske Peeche Chal Dena.
Woh Kahega-Thehr Jaao
To Apne Gatisheel Paanwon Ko Turant Shithil Kar Dena.
Woh Kahega-Nikat Aao
Apni Deh Uski Sej Par Bicha Dena.
Woh Kahega-Dharti Bano
Tum Uske Beej Ko Garbh Me Chipa Lena
Woh Kahega-Door Jaao
Apna Wajood Leke Chali Jaana
Smarn Rahe-
Tumhare Honton Par Koii Prashn Na Ho
Halki Si Aah Bhi Nahin.
Koi Shikayat Na Karna Usse
Tum Kehne Ke Liye Nahi,
Maatr Sunne Ke Liye Ho.
Bhavnaon Ka Tumhare Yahan Kya Kaam?
Bhoolo Mat- Tum Aurat Ho
Aur Aurat Hone Ka Mol Chukaana Hi Padta Hai.
Saho,Sehna Hi Tumhari Niyati Hai,
Tum Pratikar Kabhi Na Karna
Tumhare Vidrohi Swar Use Sweekaar Nahin Honge-
Kyunki Purush Ko Stri Ka Dharti Sareekha Aachran Hi Pasand Hai.
By Shabnam Sultana`ada’
More Shayari by Shabnam Sultana`ada'
i dont like this poem….aaj k jamane me ladkiya aisi nahi hoti…jaisi aapne batayi hai….aaj ladkiya ladko se bhi aage nikal chuki hai..to ye poem se me bilkul sehmat nahi hu…..
lagta hai Pearl tumne poetry nahi padhi.Isilye tum nahi samajh saki ki ye poetess ne satirical way me purush samaj par chot ki hai aur aurat ki peeda ko zabaan dene ki koshish ki hai.poem ke words hi nahi kehne wale ka lehja bhi padna padta hai.
Ye poem padhlrr muze apni life dikhi.mai b isitrh apne pati ki rah pr chlti gayi..o hukumata rha ringmaster ki trh or me sunti gyi..meri o glti aapne is poem k dwaraa dikhayi..Thanx