Sharmayi Si Ghabrayi Si, Jab Shaam Dhale Wo Aayi Thi,
Haathon Mein Pallu Ka Kona, Raste Bhar Ghumati Aayi Thi,
Maine Puchha Jo Adab Se, Theek To Ho,
Boli Woo..Woo.. Wo Mein Mandir Ke Bahaane Aayi Thi,
Uske Marmari Haatho Ko Maine,
Chhu Ke Dekha, Jaise Barf Se Dho Kar Aayi Thi,
Munh Pher Ke Khadi Ho Gayi,
Jaise Wo Meri Nahi Paraayi Thi,
Jee Mein To Aaya, Aagosh Mein Bhar Ke,
Uske Kaano Mein Keh Du, Mere Dil Mein Tum Hi Samayi Thi,
Khayal Kiya Duniya Ka, Ghoonth Piya Sabr Ka,
Aur Socha Bigad Na Jaaye, Baat Meri Jo Bani Banayi Thi,
Maine Has Ke Bola, Ek Pal Jara Idhar Bhi Dekho,
Shayad Tum Mujhse Hi Milne Aayi Thi,
Pehli, Doosri, Teesri, Kuch Mulaqaatein Aise Hi Guzri,
Dheere Dheere Aise Ghul Gaye Jaise,
Main Phool Aur Uski Khushbu Mujh Mein Samayi Thi.
By Deep
More Shayari by Deep
Kya baat hai yr waah! Waah! Waah! Waah!
bhai ye shayari hai ya mere saath jo hua aap ne andaaz lia