Bahut Hi Muddat Ke Baad Kal Jab,
Kitaab-E-Maazi Ko Maine Khola,
Bahut Se Chehre Nazar Mein Utare,
Bahut Se Naamon Pe Dil Paseeja,
Ek Aisa Safha Bhi Uss Mein Aaya,
Likha Hua Tha Jo Aansuon Se,
Ki Jiska Unwan Humsafar Tha,
Jo Safha Sab Se Hi Motabar Tha,
Kuchh Aur Aansu Phir Uss Par Tapke,
Phir Usse Aage Mein Padh Na Paya,
Kitaab-E Maazi Ko Bandh Kar Ke,
Uski Baaton Mein Kho Gaya Main,
Agar Wo Milta Toh Kaisa Hota?
Inhi Khyaalon Mein So Gaya Main.