Ru-Baruu Wo Hai Ibaadat Kar Raha Hun,
Uske Chehre Ki Tilaawat Kar Raha Hun,
Lo Kharido Ik Nazar Ke Moul Mujhko,
Apni Qeemat Mein Riyaayat Kar Raha Hun,
Li Hai Sabr-O-Zabt Ne Mujh Se Ijaazat,
Apne Mehmaanon Ko Rukhsat Kar Raha Hun,
Chhin Gaya Mulk-E-Jawaani Bhi To Kya Ghum?
Ab Bhi Yaadon Par Hukumat Kar Raha Hun,
Koi Bhi Ghum Usko Lotaya Nahi Hai,
Yun Amaanat Mein Khayanat Kar Raha Hun,
Usne To Bas Ik Zara Si Baat Chhedi,
Main Wazaahat Par Wazaahat Kar Raha Hun,
Ishq Karke Aap Bhi Ban Jaaye Insaan,
Sheikh Sahaab Ko Naseehat Kar Raha Hun,
Aashiqui Tufaan-E-Girya Chahti Hai,
Aur Mein Aahon Par Qana’at Kar Raha Hun,
Aasmaan Jo Shaks Hai Sab Ki Nazar Mein,
Usko Chhu Lene Ki Jurrat Kar Raha Hun,
Maine Dekha Hai Qateel Us Ka Saraapa,
Main Kahaan Zikr-E-Qayamat Kar Raha Hun?