Usay Bhi Yaad Tou Houngay woh Din, Woh Maah, Woh Saal
Ke Jab Dharakta Hee Rehta Thaa Dil Mein Shoq-E-Visaal
Woh Guftagoo Key Liye Dhoondna…kayein Maozoo
Woh Uus Ko Paas Bethaney Mein Lakh Qeel-O-Qaal
Woh Eik Aahat-E-Manoos Kee Talab Mein Humein
Kahan Kahan Pey Liye Ghoomti Thi Chashm-E-Khayal
Woh Uus Ka Qurb Key Sou Dooriyoun Ka Roop Liye
Woh Eik Doori Ki Waja Hazaar Ranj-O-Malaal
Har Eik Subah Usi Ki Soorat Ko Dekhney Ki Talab
Har Eik Shab Key Kharaaboun Mein Uus Key Khad-O-Khaal
Woh Roz Sheher Ki Galyoun Mein Ghoomna Apna
Key Paas Sey Kabhi Guzrey Tou Ho Ga Kabhi Haal Ehwaal
Usey Bhi Merey Huwaaloun Sey Thi Shanasaayi
Firaaq Lamhey… Thay Us Key Liye Bhi Maah-O-Saal
Woh Rat-Jugoun Sey Usey Bhi Thi Dosti Aysi
Key Neend….Us Key Liye Bhi Thi Ek Khaab-O-Khayaal