Udaas Shamain Ujaar Rastay Kabhi Bulaein To Laut Aana
Kisi Ki Aankhoan Main Rat-Jagoan Ke Azaabaaein To Laut Aana
Abhee Naee Wadioan Naye Manzeroan Main Reh Lo Magar Meri Jaan
Yeh Saray Aik Aik Ker Ke Jub Tumko Chor Jaein To Laut Aana
Jo Shaam Dhaltay Hi Apni Apni Panah Gahoan Ko Laut-Tay Hain
Ager Wo Panchi Kabhi Koi Dastaan Snaein To Laut Aana
Naye Zamanoan Ka Karb Orhay Zaeef Lamhay Nidhaal Yadain
Tumharay Khwaboan Ke Bund Kamroan Main Laut Aaein To Laut Aana
Main Roz Yuun Hee Hawa Pe Likh Likh Ke Uski Janib Yeh Bhejta Huun
Ke Achay Musam Ager Paharoan Pe Muskuraein To Laut Aana
Ager Andheroanmain Chor Ker Tumko Bhool Jaein Tumhaay Sathi
Aur Apni Khator Hee Apnay Apnay Diye Jalaein To Laut Aana
Meri Wo Batain Tu Jin Pe Be-Ikhtiar Hunsta Tha Khilkhila Ke
Bichernay Wale Meri Wo Batain Kabhi Rulaein To Laut Aana!!!