Tere Liye To Wo Chand Tukde The Kagaz Ke,
Par Meri To Umar Bhar Ki Dastan Likhi Thi,
Pad Kar Faink Diye Kone Mein Aakhbar Ki Tarah,
In Khaton Mein Mere Khoon Ki Siyahi Lagi Thi,
Sulagte Rahe Jazbaat Dehke Aangaron Se,
Tum Ko Khabar Na Hui Ye Khata Meri Thi,
Dil Ke Chaalon Ko Jo Chhua Zara,
To Dard Sailab Ki Tarah Nikla Tha,
Gujra To Tha Tere Kooche Ki Har Gali Se Mera Paigam,
Tumne Nahi Saraha Ye Khata Meri Thi,
Mere Aashqon Ki Zuban Tum Samajh Nahi Paye,
Chahat Ko Khaton Mein Bayan Hum Kar Nahi Paye,
Likhte To Rahe Saari Raat Mohabbat Ka Fasana,
Baith Kar Tere Pehlu Mein Haal-e-Dil Tum Ko Sunana,
Tumko Ye Bhi Bata Nahi Paaye Ye Khata Bhi Meri Thi,
Taqdeer To Badal Sakti Thi “Shakir” Ki Tumne Kabhi Chaha Hi Nahi,
Kismat Ke Milne Se Kismat Badal Sakti Thi,
Tumne Kabhi Mukaddar Aajmaya Hi Nahi.
By Shakir Ali
More Shayari by Shakir Ali
NICE LINES…
nice lines