Tu Nahi Teri Chhahat Nahi Magar Teri Aarzoo To Hai,
Aansu Nahi Shikva Nahi Magar Dil Main Dard To Hai
Rasta Nahi Manzil Nahi Magar Mujhay Chalna To Hai,
Dharkan Nahi Sansain Nahi Magar Mujhe Jeena To Hai
Chaand Nahi Taaray Nai Magar Chiraag Jalta To Hai,
Phool Nahi Khushboo Nahi Magar Tan Mehakta To Hai
Saaj Nahi Awaaz Nahi Magar Hoont Larztay To Hai,
Shaam Nahi Jaam Nahi Magar Qadam Behakte To Hai
Deewarain Nahi Chhat Nahi Magar Log Rehay To Hai,
Kafan Nahi Dafan Nahi Magar Armaa Sulagte To Hai
Sagar Nahi Dariaa Nahi Magar Ashak Behtay To Hai,
Bahar Nahi Khizaan Nahi Magar Mausam Badalte To Hai
Tera Koocha Nahi Dar Nahi Magar Sar Jhukte To Hai,
Saudagar Nahi Bazaar Nahi Magar Ehsaas Bikte To Hai
Aankhain Nahi Neendain Nahi Magar Khaab Aatay To Hai,
‘Veer’ Nahi Shairy Nahi Magar Log Likhtay To Hai