Sukoon Sa Hi Dhundhta Sa Raha Hoon Main,
Kabhi Kuch To Kabhi Kuch Kahta Sa Raha Hoon Main,
Nahi Jaan Pata Ke Kaha Ruk Jau Kuch Der Aram Ke Liye,
Har Samay Kisi Udherbun Mein Khoya Rahta Hoon Main,
Dil Ko Samjhata Hoon Main, Bekar Hi Muskurata Hoon Main,
Aaj Bhi Kahi Na Kahi Apne Aansoon Chhipa Jata Hoon Main,
Sab Janbujh Kar Aaj Bhi Jakham Dete Hai Mujhe,
Aur Fir Bhi Sab Jante Hue Muskura Jaata Hoon Main,
Jane Anjane Kahi Akela Sa Ho Jata Hoon,
Apni Si Hi Duniya Mein Kahi Kho Jata Hoon Main,
Janta Hi Nahi Kis Tarah Karu Khud Ko Khush Kabhi,
Har Samay Kisi Udherbun Mein Khoya Sa Rehta Hoon Main,
Har Samay Kisi Udherbun Mein Khoya Sa Rehta Hoon Main.
By Raman Verma “Rem”
More Shayari by Raman Verma 'Rem'
Nice