Kitna Roshan Hai Tera Chehra Mere Hamdam

40 Views | Email This Shayari | Send Free SMS This Sher To Any Mobile In INDIA
Kitna Roshan Hai Tera Chehra Mere Hamdam…
Diya Jalane Ki Abb Kise Fursat Hai…
By Jerry G

Kitna Roshan Hai Tera Chehra Mere Hamdam…
Diya Jalane Ki Abb Kise Fursat Hai…
By Jerry G

Log Jhuk Jaatey Hain Apney Waqaar Sey, Leykin,
Husn To Husn Hai: Khushkhwaar Hai Zameen Key Liye!
Aap Aaneyn To, Bin Phaloun Key Bhi Jhuk Jaayengey
Tamaam Ye Darakht, Khairmaqdamee Key Liye!!
By Abd Bundeli (Ram Prakash Garg)

जिन्दगी अपनी खुबसूरत नज़र आती है,
मेरे दिल में कोई तस्वीर उतर जाती है,
अब चलो इन हवाओं का शुक्रिया कर दें ,
इनके कारण ही तेरी जुल्फ बिखर जाती है,

Kya Soch Ker Tere Husn Kee Taameer Kee Hogi,
Kya Soch Ker Khuda Ne Tujhko Banaya Hoga.
Badi Pyari Lagi Hogi Usko Bhi Teri Soorat,
Jub-Jub Naqab Tere Rukh Se Hawa Ne Hataya Hoga.
By Sahil Verma

Kabhi Tere Hoto Ko Kamal Likhata Hoo.
Kabhi Teri Ankho Ko Jheel Likhata Hoo.
Teri Aarazoo Hai Mujhe Itani Ki,
Teri Har Baat Par Gajal Likhata Hoo….
By Krishna

Khata Nahi’n Hai Chahat Bhari Nazer Ki,
Na Dosh Hai Barish Key Is Pani Ka.
Nikla Kar Ghar Se Orhnee Orh Key Gori,
Tujhpe Aalam Hai Jor Jawani Ka.
By Sahil Verma

Husn Afroz Kahaan Tak Bhalaa Chhupaaougey?
Na Sahee Aaj, Kabhee To Nazar Mein Aaougey?
Chaandnee Raat Mein, Mahtaab Chhupeygaa Kaisey?
Naqaab-E-Abra Kahaan Hai, Ki, Audhh Paaougey?

Chand Bhi Sharma Jata Hai,
Deedar Tumhra Karke,
Husan Ki Malika Ho Tum,
Ek Ehsan Hum Per Bhi Kar De!

Khoobsoorat Ho Tum Sheeshe Ke Mahal Ki Tarah,
Kashish Bhi Hai Adawon Mein Galib Ki Ghazal Ki Tarah.
Nikla Karo Bach Ke Hawawon Se,
Kyunki Nazuk Bahut Ho Tum Kanwal Ki Tarah.
By Sahil Verma

Khuda Ne Tujhe Etnaa Khoobsoorat Na Banaaya Hota,
Mujhe Tanhaan Raaton Ko Yoon Bebas Na Rulaaya Hota,
Meri Zindagi Bhi Sitaaron Si Khoobsoorat Hoti,
Mujhe Duniya Mein Kisi Se Koe Shikaayat Na Hoti.
By Pramod Kumar Sharma