Shaayad Kahin Kho Gayi Hai Zindagi,
Maut Ke Andhere Saaye Mein.
Jaise Kahin Kabhi Kho Jaata Hai Koi Lamha
Girkar Waqt Ki Panaahon Se
Jaise Ek Boond Paani Ki Kabhi
Bichad Jaati Hai Nadi Ki Dhara Se
Jaise Bahaar Ka Koi Chotta Sa Zara
Reh Jaata Hai Peeche Patjhad Ki Hawaon Mein.
Jaise Musafiron Se Bhari Raah Par
Kat Jaata Hai Safar Akele Hi
Chahe Ho Kitna Hi Shor Chaaron Taraf
Lagta Hai Jaise Ek Khamoshi Si
Rahen Pehchanti Hai Mujhe Magar
Manzil Se Meri Dosti Nahin
Karvan Hai Mere Saat
Magar Koi Humsafar Nahin
Jaam To Peete Hain Roz
Magar Nasha Aata Nahin
Saansen To Chal Rahin Hain
Phir Bhi Hum Zinda Nahin