Khamosh Kadamon Se Ye Mere Ghar Aayi,
Ek Aur Surmai Shaam Phir Mere Dar Aayi,
Basaana Chaha Jab Maine Isse Palkon Par,
Ban Kar Ye Ashq Aankhon Se Ubhar Aayi,
Mar-Mar Kar Jeeti Rahi Meri Saari Hasratein,
Kasak Ban Kar Yaad Bhi Dil Mein Utar Aayi,
Dhoondti Rahi Main Andheron Mein Khud Ko,
Bas Khaali Zindagi Hi Darmiyaan Nazar Aayi,
Karti Rahi Ye Mohabbat Intezaar Shab Bhar,
Na Aaye Wo Aur Na Unki Koi Khabar Aayi.
By Shireen Hakani
More Shayari by Shireen Hakaniखामोश कदमों से ये मेरे घर आई,
एक और सुरमई शाम फिर मेरे दर आई,
बसाना चाहा जब मैंने इसे पलकों पर,
बन कर ये अश्क आँखों से उभर आई,
मर-मर कर जीती रही मेरी सारी हसरतें,
कसक बन कर याद भी दिल में उतर आई,
ढूँढती रही मैं अंधेरों में खुद को,
बस खाली ज़िन्दगी ही दरमियान नज़र आई,
करती रही ये मोहब्बत इंतज़ार शब् भर,
न आये वो और न उनकी कोई खबर आई।