Mar Mar Ke Jeena Hume Sikha Gaya …
Judai Ki Aag Main Hume Jhulsa Gaya
Tujhse Pehle Jeete The Hum Jindadili Se …
Ab Har Lamha Aansoun Main Sama Gaya ….
Nigahen Bayan Karti Rahi Rakh Umeedo Ko
Arman-E-Mohbbat Kitne Seene Main Dafna Gaya…
Humne Ki Thi Mohbbat Beintha ‘E’ Jamane
Halat-E-Dewangi Ko Tu Pagalpan Bana Gaya
Bekhabar The Tere Dhoke Ki Basti Se Teri
Khushi Se Shamshan Apne Ghar Ko Bana Gaya..
Rakhte The Hasrat Teri Nighaon Basne Ki…
Apni Hi Aankhon Ko Jheel-E-Ashq Bana Gaya
Phool Se Badan Ko Pane Ki Chah Thi Bas
Kanton Ke Taaz Se Dil Ko Apne Saza Gaya
Socha Na Tha Ye Hogi Manjil-E-“saccha_pyarâ€
Shurwat-E-Jindgi Ke Pal Main Hume Dafna Gaya