Maine Usko Wafa Se Sincha Hai…
Ek Nayi Aarzoo Ke Dhaagon Se,
Gham Ka Ek-Ek Jakhm Silta Hai,Dil Ki Purnam Jameen Par Yaaron,
Ek Din Ek Gulab Khilta Hai,Jisne Halchal Machayi Hai Mujh Mein,
Wo Haseen Aarzoo Ka Poudha Hai,Rang Ho Khoon Ka Usi Ki Khatir,
Maine Usko Wafa Se Sincha Hai,Usne Payi Gulab Ki Surat,
Ab Guman Ko Yakin Mila Hai,Aarzu-E-Wajood Mein Aayi,
Ye Sachi Chahat Ka “Raaj“ Sila Hai.By Rajnish Raaj
Hindi Version
एक नई आरज़ू के धागों से,
ग़म का एक-एक जख्म सिलता है,
दिल की पुरनम जमीन पर यारों,
एक दिन एक गुलाब खिलता है,
जिसने हलचल मचाई है मुझ में,
वो हसीन आरज़ू का पौधा है,
रंग हो खून का उसी की खातिर,
मैंने उसको वफ़ा से सींचा है,
उसने पाई गुलाब की सूरत,
अब गुमान को यकीन मिला है,
आरजू-इ-वजूद में आई,
ये सची चाहत का "राज" सिला है।
Mast Photos For You


bahut khoob.