Main Jab Hawa Ke Iraadon Ko Jaan Leta Hoon

Posted on 23 Jul 2012 | Author: | Ghazals & Lyrics, Mehfil-E-Shayari

Main Jab Hawa Ke Iraadon Ko Jaan Leta Hoon,
Lade Bagair Hi Phir Haar Maan Leta Hoon,

Gairon Ki Yaad Anghoote Se Aane Lagti Hai,
Main Jab Bhi Haath Mein Teer-O-Kamaan Leta Hoon,

Fizaa-E-Sheher Se Aati Hui Hawaon Ko,
Main Saans Lene Se Pehle Hi Chhan Leta Hoon,

Badey Sukoon Se Aksar Zameen Ke Bistar Par,
Ab Aasmaan Ki Chaadar Bhi Taan Leta Hoon,

Ye Aur Baat Hai Ke Poora Koi Nahi Hota,
Hamesha Azam Koi Dil Mein Thaan Leta Hoon.,

Ye Waqeya Hai Ke Naqam Rehta Hoon “Fahmi“,
Main Jab Bhi Apna Koi Imtehaan Leta Hoon.

By Belal Nawaz Fahmi

Hindi Version

मैं जब हवा के इरादों को जान लेता हूँ,

लड़े बगैर ही फिर हार मान लेता हूँ,

गैरों की याद अंघूते से आने लगती है,

मैं जब भी हाथ में तीर-ओ-कमान लेता हूँ,

फिजा-इ-शेहर से आती हुई हवाओं को,

मैं सांस लेने से पहले ही छान लेता हूँ,

बडे सुकून से अक्सर ज़मीन के बिस्तर पर,

अब आसमान की चादर भी तान लेता हूँ,

ये और बात है के पूरा कोई नहीं होता,

हमेशा अजं कोई दिल में ठान लेता हूँ.,

ये वाक्या है के नाकाम रहता हूँ "फहमी",

मैं जब भी अपना कोई इम्तेहान लेता हूँ।




Mast Photos For You

What Is A Safe Sex? Little Purple Angel In Garden Bachhe Ab Bachhe Kaha Rahe I Love You My Juliet Aaj Milne Nahi Aa Sakti Dad Ghar Par Hai

Shyari SMS Version

There Is No SMS Version For This Shayri.
Receive Daily Shayari By eMail
Or Send JOIN ShersDotIn To 987O8O7O7O To Receive Shayari In SMS.



Leave a Reply