Main Aaina Hoon,Wo Mera Khayal Rakhta Hai,
Main Totta Hoon To Chun K Sambhal Rakhta Hai,
Her Aik Maslay Ka Hal Nikal Rakhta Hai,
Zaheen Hay Mujhe Hairat May Daal Rakhta Hai
Main Jub Bhi Tark-E-Taalluq Ki Baat Karta Hoon
Wo Roktta Hay Mujhe Kal Pay Taal Rakhta Hai
Wo Mere Dard Ko Chunta Hay Apni Palkon Say,
Wo Mere Waasaty Khud Ko Nidhal Rakhta Hai
Wo Doobnay Nahi Deta Hay Waqt K Darya May,
Mere Wajood Ki Naau Uchal Rakhta Hai
Duaain Uski Balaaon Ko Rok Leti Hain,
Wo Mere Chaar So Hathon Ki Dhal Rakhta Hai
Aik Aisi Dhun Jo Na Phir Kabhi May Nay Suni,
Wo Munfarid Sa Hansi May Kamal Rakhta Hai
Usay Nidamatain Meri Kahan Gawara Hai,
Wo Mere Wastay Asan Sawal Rakhta Hai
Bichar K Us Se May Dunya Ki Thokaron Main Hoon,
Wo Paas Ho To Mujhe Lazawaal Rakhta Hai