Humesha Muskura Kay Aansooun Ko Chupaya
Ghum Ko Chupanay Ka Yehi Rasta Nazar Aaya
Kis Kis Ko Batatey Bethey Ashkon Ka Sabab
Kay Derd-E-Dil Dil Mey Kis Nay Jagaya
Mehfilon Mey Kahin Bhi Maza Na Raha
Rakha Dil Pay Pather To Khud Ko Sajaya
Baat Bay Baat Apni Aahain Daba Kar
Logo Kay Dermiyan Kis Qadar Muskurayi
Kya Muqaddar Say Shikwa Kartey Rahain
Jo Qismat Mey Tha Wohi Kuch To Paaya
Yeh Kis Mor Pay Aagayi Hain Umeedain
Kay Saaya-E-Manzil Nazar Mey Naa Aaya
Apno Nay Palat Kay Daykha Tak Nahin
Ghairon Nay Aaker Galay Say Lagaaya
Acha Hua Kay Raaz Khul Hi Gaya
Dil-E-Nadaan Pay Khanjar Kis Nay Chalaya
Shab-O-Roz Chahat Sila Yeh Hay
Dil Kay Tukrey Huye Aur Wo Chunney Naa Aaya