Kal Raat Humne Unko, Phir Dekha Tha Dobara,
Meri Zindagi Ki Khushboo, Mere Khwabon Ka Sahara,
Aayi Thi Samne Wo, Karke Haya Ka Parda,
Jhuki Thi Unki Nazrein, Dhadka Tha Dil Hamara,
Is Jahan Se Door Dono, Khoye Ek Doosre Mein,
Wo Kaum Thi Hamari, Mazhab Tha Wo Hamara,
Kuch Kehna Hum Jo Chahein, To Lafz Jam Gaye The,
Jo Hizaab Se Chann Raha Tha, Wo Noor Tha Hamara,
Bada Shokh Tha Wo Jhaunka, Parda Tha Kheencha Jisne,
Kaha Shukriya Hawa Ko, Diya Sath Jo Hamara,
Dheere Se Apni Palkein, Phir Uthayi Usne Upar,
Wo Sawaal Puchhti Thi, Kya Haal Hai Tumhara,
Main Khamosh Hi Khada Tha, Na Halchal Koi Badan Mein,
Is Pal Ko Jeena Chahta Tha, Agar Na Ho Samna Dobara,
Phir Kho Gayi Kahi Wo Raat Ke Andhero Mein,
Aankhein Thi Dhoondti Usko, Dil Ro Raha Tha Hamara,
Wo Door Ja Chuki Thi Par Aks Reh Gaya Tha,
Ab Is Anjaan-E-Ishq Ka Wo Aks Hai Sahara.
By Sumit Sharma
More Shayari by Sumit Sharma
Kya baat hai ji