Kaise Aagayi Meri Zindgi Maie Nahi Jaan Ti Hu Maie;
N Koi Jaan – Pahechan N Koi Dosti N Rishta
N Kuchh Socha N Maie Samji N Tunae Puchaa Tak…
Bas! Aa Hi Gayi Ekdam Se Aahi Gayi Aur
Hamesha Ke Liyae Sama Gayi N Raat Ke Andhere Se Dari
N Subah Ki Kadi Dhoop Se Rooki N Mujae Koi Aahat Soonaai Di
N Tujae Dastak Dena Jaroori Laga Bas Aa Hi Gayi
Ekdam Se Aa Hi Gayi Aur Hamesha Ke Liyae Sama Gayi.
Pahaad Se Bahti Nadii Dekhi Hai Kabhi? Nirmal Komal Par Atal
Kabhi Halke Se To Kabhi Joro Se Par Bhati Hai Nahi Rookti Kabhi
Kisi Pathhar Ya Chataan Ke Roknae Se Ekdam Bahti Rahti Hai
Aur Samundar Se Ja Milti Hai Tu Aise Hi Aayi Meri Zindgi Maie
Sama Gayi Mere Dil Maie Yunh Jood Gayi Mujse Jaise Ek Jaan Ek Saans.