Humdard Har, Duniya Ki Badalti Sharaafat Jaisa
Ghar Main Hi Har Rishta Chhalti** Banaawat Jaisa
**Chaalaki Se Loot-Ti
Bikhra Pada Hai Sadkon Pe Aalam-E-Insaniyat
Jahan Khelna Maut Se Sabki, Koi Tijaarat**Jaisa
** Business
Ladkhadaate Be-Khudi Main Mast Taraanon Pe
Kambhakht Dil Main Liye Dard Koi Haraarat** Jaisa
** Bukhaar
Lut-Te Hai Yahan Kadradaan Galiyan Ye Azeeb Hai
Bazaar-E-Husn Main Begunahi Ki Wakaalat Jaisa
Kyun Chale Aaye Hai Kohsar-E-Umra Pe Bina Wajah
Kahan Se Laaun Pal Wo Bachpan Ki Sharaarat Jaisa
** Pahaad
Kya Sochte Ho Dekh Mere Jism Pe Bane Nishano Ko
Jo Raat Ki Tanahaai Main Kisi Yaad Ki Ibaarat** Jaisa
** Kahaani, Fasaana
Jale Khwaab, Toote Armaan, Fisalti Jaati Kismet
Jeena Aaj Is Jahaan Main Lage Ek Kahaawat Jaisa
Khush Na Hona Ki Bacha Hai Kahin ‘Saccha Pyar’
Bas Aansuon Ki Zameen Par, Girti Imaarat Jaisa