Hai Is Khushi Ki Teh Mein Kahin To Talash Kar,
Hansti Hui Har Aankh Mein Aansoon Talash Kar,
Mujhko Talash Karna Amawas Ki Raat Mein,
Suraj Ki Roshni Mein Na Jugnu Talash Kar,
Tanhaiyon Ki Dhoop Mein Jhulse, Tu Is Se Qabl,
Dasht-E-Jahan Mein Saya-E-Gesu Talash Kar,
Tarjeeh Ghair Ko Na De Tu Apne Bhai Par,
Apni Madad Ko Apna Hi Baazu Talash Kar,
Ye Ghar Ki Chandni Hai Wo Kothe Ki Dhoop Hai,
Paazeb Ki Jhanak Mein Na Ghungru Talash Kar,
Matlab Tera Teri Talb Mein Nikal Pade,
Tu Aisa Apne Aap Mein Jadu Talash Kar,
Tu Ghir Chuka Hai Hirs-O-Hawas Ke Hisar Mein,
“Talib“ Koi Nijat Ka Pehlu Talash Kar.
By Ayaz Ahmad “Talib”
More Shayari by Ayaz Ahmad "Talib"है इस ख़ुशी की तह में कहीं तो तलाश कर,
हंसती हुई हर आँख में आंसूं तलाश कर,
मुझको तलाश करना अमावास की रात में,
सूरज की रौशनी में न जुगनू तलाश कर,
तनहाइयों की धूप में झुलसे, तू इस से काबल,
दश्त-इ-जहान में साया-इ-गेसू तलाश कर,
तरजीह घिर को न दे तू अपने भाई पर,
अपनी मदद को अपना ही बाजू तलाश कर,
ये घर की चांदनी है वो कोठे की धुप है,
पाजेब की झनक में न घुंगरू तलाश कर,
मतलब तेरा तेरी तलब में निकल पड़े,
तू ऐसा अपने आप में जादू तलाश कर,
तू घिर चूका है हिर्स-ओ-हवास के हिसार में,
"तालिब" कोई निजत का पहलु तलाश कर।
Suna Hai Pyaar Ke Kissey Ajib Hote Hain,
Khushi Ke Badle Gam Naseeb Hote Hain,
Mere Dost Mohabbat Na Karna Kabhi,
Pyaar Karnewale Bade Badnaseeb Hote Hai…