Bijliyon Ne Kuch Likha, Kuch Aandhiyon Ne Likh Diya,
Qissa Apna Khud Badalte Mausamon Ne Likh Diya,
Dushmano Ne To Khatayen Meri Kar Di Thi Maaf,
Qatal Ka Farman Lekin Doston Ne Likh Diya,
Qatal Hone Ka Tamasha Dekhna Hi Jurm Tha,
Qaatilon Mein Naam Mera Haakimo Ne Likh Diya,
Dard Dil Ka Dil Mein Kab Tak Qaid Reh Paata Bhala,
Haal-E-Dil Chehre Pe Bahte Aansuon Ne Likh Diya,
Mahlon Ke Waasi Tamasha Dekhne Mein Mast The,
Shahar Ka Itihaas Jalte Jhonpadon Ne Likh Diya,
Nafraton Ka Hai ‘Jamali’ Raaj Tere Shahar Mein,
Ye Dilon Ke Beech Bharti Dooriyon Ne Likh Diya.
By Dr. Wasimuddin Jamali
More Shayari by Dr. Wasimuddin Jamaliबिजलीओं ने कुछ लिखा, कुछ आँधियों ने लिख दिया,
किस्सा अपना खुद बदलते मौसमों ने लिख दिया,
दुश्मनों ने तो खताएं मेरी कर दी थी माफ़,
कतल का फरमान लेकिन दोस्तों ने लिख दिया,
कतल होने का तमाशा देखना ही जुर्म था,
कातिलों में नाम मेरा हकीमों ने लिख दिया,
दर्द दिल का दिल में कब तक क़ैद रह पाता भला,
हाल-इ-दिल चेहरे पे बहते आंसुओं ने लिख दिया,
महलों के वासी तमाशा देखने में मस्त थे,
शहर का इतिहास जलते झोंपड़ों ने लिख दिया,
नफरतों का है 'जमाली' राज तेरे शहर में,
ये दिलों के बीच भरती दूरियों ने लिख दिया।
KAL YAD TUMHARI AYEE SARI RAT
AUR PAS HI BAJI KAHI SHAHNAI SARI RAT
GAGAN BICH ME RUKA CHANDRAMA LAGA MUJHE SAMJHANE
MAN CHAHA MAN PA JANA KHEL NAHI HAI PYARE***
Fantastic..keep it up.