Fir Mujhe Deeda-E-Tar Yaad Aaya
Dil Jigar Tashna-E-Fariyaad Aaya
Dam Liya Tha Na Qayaamat Ne Hanoz
Fir Tera Waqt-E-Safar Yaad Aaya
Saadgee  Haay  Tamanna, Yaanee
Fir Wo Nai_rang-E-Nazar Yaad Aaya
Uzr-E-Waamaandagee ‘Ei Hasarat-E-Dil
Naala Karta Tha Jigar Yaad Aaya
Zindgee Yon Bhee Guzar Hi Jaatee
Kyon Tera Raahguzar Yaad Aaya ?
Kya Hee Rizwaan Se Ladaayee Hogee
Ghar Tera Khuld Mein Gar Yaad Aaya
Aah Woh Jurat-E-Fariyaad Kahaan
Dil Se Tang Aake Jigar Yaad Aaya
Fir Tere Kooche Ko Jaata Hai Khayaal
Dil-E-Gumgashta Magar  Yaad  Aaya
Koee Weeraanee-See-Weeraanee Hai
Dasht Ko Dekh Ke Ghar Yaad Aaya
Mainne Majnoon Pe Ladakpan Mein ‘Asad’
Sang Uthaaya Tha Ki Sar Yaad Aaya