Ek Pyaasa Jaise Tarasta Hain Paani Ke Liye
Ek Andha Jaise Tarasta Hain Drishti Ke Liye
Ek Bahra Jaise Tarastaa Hain Awaaz Ke Liye
Main Taras Raha Hoon Yahan Aap Ke Liye
Raat Bhar Rahta Hai Intezaar Suraj Ka
Phool Ko Hai Intezaar Ek Bhanwar Ka
Saagar Ko Hota Hai Intezaar Nadi Ka
Aur Mujhe Hai Intezaar, Bas, Aap Ka
Chaha Na Kabhi Maine Shohrat Ko
Na Chaha Kabhi Beshumaar Dualat Ko
Chaha Hai Agar Maine Kisi Cheez Ko
To Woh Hai Sirf Aapki Nirmal Dosti Ko
Chahe Yeh Zaalim Duniya Kuch Bhi Kahe
Paagal Dil Mera Hamesha Yahi Chahe
Chaahe Qayamat Hi Kyon Na Aaye
Hamari Yeh Dosti Hamesha Salamat Rahe