Ek Paglii Si, Diwaani Si……
Har Rut Main Mastaani Si……
Kabhi Chaand Se Karti Baatein…..
Kabhi Man Ko Tatolti Aankhein…..
*Sahara Mein Ek Phool Ki Tarah….
Hai Vo Aab-O-Paani Si…..
Ek Pagli Si, Diwaani Si……
Kabhi Udte Parindon Ki Tarah…
Milti Hai Khule Bandon Ki Tarah….
Kadi *Zau Mein Milti Hai…..
Koi Lehar Barfaani Si…..
Ek Pagli Si, Deewaani Si……
Dil Mein Utarti Uski Chanchalta…..
Batoon Se Mann Hai Behalta……
Zehan Mein Bass Gayi Hai….
Uski Ek Nishaani Si…..
Ek Pagli Si, Deewaani Si……
Toote Rishton Mein Hai **Sahra….
Nahi Mera Hai Sab Tumhara….
Mit.Ta Hai Jab Bhi ^aman^….
Banti Hai Vo *Baani Si…..
Ek Pagli Si, Deewaani Si……
Har Rut Main Mastaani Si……