Dil Mein Ek Lehar Si Uthi Hay Abhi
Koi Taza Hawa Chali Hay Abhi
Shoor Hay Khana-E-Dil Mein
Koi Deewar Si Giri Hay Abhi
Bhari Duniya Mein Jee Nahi Lagta
Janay Kis Cheez Ki Kami Hay Abhi?
Yaad K Be Naam Jazeeroon Se
Teri Awaz Aarahi Hay Abhi
Shahar Ki Be Chiraag Galiyoon Mein
Zindagi Dhoondni Hay Abhi
Soo Gaye Loog Is Basti K
Ek Khirki Magar Khuli Hay Abhi
Waqt Acha Bhi Aaye Ga
Gham Na Kar Zindagi Pari Hay Abhi
who ever post lyrics of this famous ghazal DIL MAIN EK LAHER SE UTHI HAY ABHI. he didnt mention name os poet in it this famous poetry written by NASIR KAZMI ,and sung by GHULAM ALI.thanks,
waqt acha bhi aye ga Nasir
gham na ker zindage pari hay abhi.