Dil Ko Ronarooh Ko Khudpe Afsos Aaya
Aaj Phir Us Bewafa Ka Khyaal Aaya
Khamosh Lab Aur Sukhi Ankhein Thi
Unke Khayalo Se Phir Ek Sailaab Aaya
Dil Ne Unko Kai Baar Bhulana Chaha
Jitna Bhulaya Woh Aur Yaad Aaya
Kya Kami Thi Mere Husno-Ishq Mein
Kyu Us Sangdil Ne Mujhe Itna Sataya
Meri Ankhon Mein Bas Wohi Base The
Phir Kyu Nahi Unhone Mujhe Apnaya
Wo Kehgaye The Ke Mein Launt Aunga
Ek Arsa Beeta Hai Wo Ab Tak Na Aaya
Ek Din Intezar Me Unke Yuhi Baithi Thi
Dil Jhum Gaya Tha Jo Unka Khat Aaya
Us Kagaz Me Khushiyaa Dhund Rahi Thi
Haath Mere Bas Lamba Intezaar Aaya
Kitni Asani Se Likhdia Ke Mujhe Bhulado
Kyu Unko Mujhpe Koi Taras Na Aaya
Jis Rishte Ko Itne Armano Se Banaya Tha
Use Khatm Karne Ek Kagazka Tukda Aaya
Bada Yakin Tha Apne Mazboot Pyaar Pe
Ek Kagaz Ne Use Kitna Kamzor Banaaya
Koi Rishta Mazbut Nahi Hota Farhana
Is Sach Ka Usne Mujhko Ehsaas Dilaaya
Bhul Rahi Hu Unko Mujhe Iska Guma Tha
Khat Dekhte Sara Manzar Nigaho Me Aaya
Dil Ko Ronarooh Ko Khudpe Afsos Aaya
Aaj Phir Us Bewafa Ka Khyaal Aaya