Tum Mujhe Bhulana Bhi Chahoge Toh Tumhe Har Pal Yaad Aaungi Main
Kabhi Ban Ke Badal Kabhi Ban Ke Aansu Teri Aankh Se Baras Jaaungi Main
Jab Bhi Kholega Tu Yaado Ki Kitaab Apne Dil Mein
Toh Har Pane Per Tasveer Ban Ke Teri Aankho Mein Nazar Aaungi Main
Aashko Ki Kya Bat Hai Bus Pal Do Pal Ye Sath Hai
Gayab Ho Jate Hai Bah Beh Ker
Sukh Jate Hai Kabhi Na Kabhi
Duniya Ki Tapish Ke Aage Jalker
Teri Tasweer Dil Kee Dhadkano Se Mit Hee Jayegi
Ye Dolat Ishq Kee Ek Roj Aakhir Lut Hee Jayegi
Abhi Taq To Janhaa Mai Jee Liya Par Ab Ye Lagta Hai
Mere Armaano Kee Rasan (Rassi) Se Saanse Ghut Hee Jayegi
Ae Dil Mohabbat Ka Raaz Kia Hai
Yeh Chubta Hua Ahsaas Kia Hai
Mehfil Hai Tanhai Aur Tanhai Mehfil
Yeh Jeene Ka Andaaz Kia Hai
Darta Nahi Kisi Se Aashiq
Kia Anjaam Aghaaz Kia Hai
Kisi Ko Janane Ke Liye Puri Jindagi Kam Hoti Hai,
Kisi Ko Apna Maanane Mein Pal Bhi Nahi Lagata Hai,
Har Kisi Ko Dil Mein Basa Bhi Nahi Sakte Hai,
Lekin Dil Mein Jagah To De Hi Sakte Hai,
Aks Khushboo Ka Liye Gulzaar Main Aaee Thi
Zindagee Kis Shouq Say Khumar Main Nahaee Thi
Ghata Ka Ghana Saya Mausam Ka Asar Nahin
Mere Mehboob Nay Zulf Piyar Main Bikhraee Thi