Wo Huye Gair Pe Kurbaan, Unhe Kya Kahiye?
Dil Ki Jinko Nahii Pehchaan, Unhe Kya Kahiye?
Gam Huye Hum Pe Meharbaan, Unhe Kya Kahiye?
Her Khushi Khud Hai Pareshaan, Unhe Kya Kahiye?
Sukoon Mil Gaya Aaj Mujhe Badnaam Ho Kar
Tere Har Ek Ilzaam Pay Yun Bezabaan Ho Kar
Kya Hua Gar Bulaya Mujhe Bey Izzat Karne Ke Liye
Khush Hu Main Teri Mehfil Mein Mehmaan Ho Kar
Zindagi Kabhi Kabhar Ulajh Si Jaati Hai
Ummid Ki Yeh Kiran Jaane Kis Simat Ko Jaati Hai
Rehbar Ki Be-Aitnayi Ne Uljha Diya Hai Mujhko
Warna Ye Mauj-E-Dariya Saahil Hi Ko Jaati Hai
Woh Agar Ban Sanwar Gaye Honge
Dekhne Wale Mar Gaye Honge
Sham-E-Wada Aur Intezaar Un Ka
Jane Woh Kis Ke Ghar Gaye Honge
Tum Bhi Dekh Aao Marne Wale Ko
Ab To Sab Charahgar Gaye Honge
Jab Giri Hogi Bagh Par Bijli
Ahl-E-Gulshan Kidher Gaye Honge
Neend Aayi Na Hogi Raat Unhein
Naale Kia Be Asar Gaye Honge
O Sar-E-Rah-E-Muntazir Un Ke
Woh To Kab Ke Guzar Gaye Honge
Tum Bhi Ahle Junoon Ko Poojte Ho
Kia Khabar Hai Kidher Gaye Honge
Chandni Kam Yakayak Itni “Qamar”
Baam Se Woh Utar Gaye Honge
Dillagi Us Rah Pe Le Ayi Hai
Her Taraf Gunjti Shehnai Hai
Gum Ki Barish Ka Ab Malal Nahi
Teri Chahat Se Jindgi Nahai Hai