Chand Ki Chandni Bhi Madham Ho Gai Hai
Na Jane Wo Khamosh Ahat Kahan Kho Gai Hai
Jab Se Shab-E-Hijran Ko Dekha Hum Ney
Soch Ke Jagi Thi Jo Qismat Pher So Gai Hai
Sawan Rut Bhi Jatey Jatey
Ghame-E-Janan Ki Ek Nai Fasal Bo Gai Hai
Ab Usey Dekhney Ko Terasty Hain Meri Ankhein
Jab Se Es Angan Se Wo Gai Hai
Suhail Kab Talak Nagahein Dedar-E-Yar Ko Tarsein Gi
Ab To Rote Rote Meri Roh Bi Chup Ho Gai Hai