Bahut Machli Fida-E-Aarzoo Tujh Per,
Tere Mathe Ki Shikan Kanoo Ka Jhumer,
Dolti Ankhon Mein Bhara Siyah Kajal,
Jaise Muthi Mein Bhar Liya Sara Badal,
Tumhari Yaad Mein Tumhein Dhoondti Har Pal Nazar
Wo Masoom Saa Chehraa Apna Dikhaa Jao Na Ek Din
Sadiyon Se Tumhein Dil Se Pukara Hai Maine
Apne Dil Ki Baat Mujhe Bhi Sunaa Jao Na Ek Din
Tumhaare Sang Jeevan Bitana Meri Hai Khwahish
Mere Sang Reh Kar Meri Is Ruh Ko Mehka Jao Na Ek Din
Tumhaare Bin Ye Jindagi Hai Bas Kuch Hi Pal Ki
Main Tumhaare Liye Hun Banaa Ye Dikha Jao Na Ek Din
Aap Se Ek Baat Kaheni Thi
Bura Na Maan Jana Kahi
Gajab Ki Hai Aap Ki Hasi
Is Kadar Dil Khol Ke Haste
Na Mathe Pe Bindiya Na Chehre Pe Laali
Koi Shingaar Nahi Phir Bhi Kitni Pyari
Na Hothon Pe Gulab Na Aankhon Mein Kajal
Teri Saadgi Ne Kar Diya Mujhko Pagal
Rote-Rote Hansi Aa Gayi Dekho Humko Yaar
Jab Humne Kiya Apne Pyare Yaar Ka Deedar
Uske Chehre Mein Na Jaane Kaisi Hai Kashish
Mujhko Usne Kiya Deewana Bhoola Mein To Apni Service
Ab Bhi Har Subah Teri Yaad Chali Aati Hai
Din Humare Sang Bita Kar Raat Ko Hi Jaati Hai
Teri Yaadon Ke Aane Jaane Ka Silsila Yun Hi Chalta Rehta Hai
Aur Dil Hamara Shama Ki Tarah Jalta Rehta Hai
Hume To Lut Liya Mil Ke Husn Valo Ne
Kale Kale Balo Ne Gore Gore Gaalo Ne
Najar Mein Shokhiya Aur Bachapana Sharaarat Mein
Adaae Dekh Ke Hum Fas Gaye Mohabbat Mein
Hum Apani Jaan Se Jayege Jin Ki Ulafat Mein
Yahin Hai Ki Na Aayege Vohi Maiyat Mein
Khuda Saval Karega Agar Qyamat Mein
To Hum Bhi Kah Denge Hum Lut Gaye Sharafat Mein
Mere Har Khawab Ki Tabeer Tum Ho,
Meri Mohabbat Ki Jageer Tum Ho,
Barson Tarasha Hai Khuda Ne Jis Sange Mar-Mar Ko,
Us Sange Mar-Mar Ki Hansi Tasveer Tum Ho,
Meri Khushi Ka Thikana Na Hota,
Kaash Ke Khamoshi Bhi Ek Zuban Hoti,
Main Dekhta Hi Rehta Unhe,
Aur Haal-E-Dil Mera Bayan Hota,
Wo Ek Ladki Jo Meri Ghazal Hai,
Wo Ek Ladki Jo Khilti Kamal Hai,
Wo Ek Ladki Jo Taaz Mahal Hai,
Wo Ek Ladki Tum Hi To Ho,