Wo Ek Ladki Jo Meri Ghazal Hai,
Wo Ek Ladki Jo Khilti Kamal Hai,
Wo Ek Ladki Jo Taaz Mahal Hai,
Wo Ek Ladki Tum Hi To Ho,
Sunaa Hai Bole To Baaton Se Phul Jhharte Hain
Ye Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Raat Use Chaand Taktaa Rahtaa Hai
Sitaare Baam-E-Falak Se Utar Kar Dekhte Hain
Dil Mein Uske Dua Hai Aankhon Mein Uski Kashish Hai
Kohinoor Hai Jaise Roop Uska Hontho Per Narm Tapish Hai
Adao Ki Shokiya Usme Sagar Se Bhi Gehri Hai
Door Jaha Se Aayi Jaise Woh Ek Pari Hai
Baaton Mein Uski Shararat Hai Har Lafz Mein Jaise Nazakat Hai
Khud Ko Jana Nahi Usne Ki Is Jahan Ki Woh Mohabbat Hai
Uske Is Bholepan Se Jindagi Meri Sanwri Hai
Door Jaha Se Aayi Jaise Woh Ek Pari Hai
Khuda Se Husan Ne Aake Roz Sawal Kiya
Jahan Mein Kyu Na Mujhe Tu Ne La-Zawal Kiya
Mila Jawab Kay Tasvir Khana Hai Duniya
Shab-E-Daraz Adam Ka Fasana Hai Duniya
Mujh Se Kiya Perda Hai Chalo Utha Deta Hoon
Tumhen Dekh Ker Ik Ghazal Sunaa Deta Hoon
Koi Chaand Ho Sooraj Ya Aasmaan Ka Tara
Tere Cherey Ko Kya Kya Bana Deta Hoon
Qaatil Teri Adaaon Ne Loota Hai,
Mujhe Teri Jafaaon Ne Loota Hai,
Shounk Nahi Tha Mujhe Mar-Mitne Ka,
Saaki Nashili Nigaahon Ne Loota Hai,
Chalo Tum Saath Toh
Zindgi Suhana Safar Ho Jaaye
Raho Jab Saath Toh
Apna Bhi Ek Ghar Ho Jaaye
Muskuraao Tum Jab-Jab Toh
Phoolo Mai Mehak Ho Jaaye
Lehraao Kabhi Baalo Ko Toh
Fiza Mai Baarish Ho Jaaye
Jis Shakl Mein Bhi Husn Ki Wehdat Dikhai De
Us Mein Dawam Ki Koi Surat Dikhai De
Jis Ne Tumhare Husn Ko Wehdat Ata Kari
Mujh Ko Kabhi Aye Kaash Wo Qudrat Dikhai De
Jee Chahta Hai Kisi Roz Tumhey Sajaoun
Tum Baithi Raho Main Dekhta Jaaoun
Main Tumhari Palkoun Ko Choum Ker
Tumhari Aankhoun Mein Doob Jaaoun
Ae Husn Wale Tu Na Kar Itna Guman Aapne Is Husn Par
Ke Hum Tere Husn Par Nahi Teri Shaadgi Par Marte Hai
Maana Ke Kaatil Hai Teri Jawaani
Par Hum Teri Jawaani Pe Nahi Marte