Wo Jab Guzaree Huyee Aafsaane Lot Aaye
Sakiyaa Phir Hum Tere Mehkhaane Lot Aaye
Hosh Main Jo Raha Too Keh Naa Pawogaa
Dil Ko Bas Dil Haal Sunanee Lot Aaye
Gum Kisi Nashe Se Kam Nahi
Humari Aankhen Maikhane Se Kam Nahi
Kahiniyo Ki Kya Zaroorat
Humari In Aankheon Mein Pad Loo
Ek Bewafai Ki Kahani Miligi
Phir Koi Kahani Padne Ka Shook Na Rahega
Nahi Rakhte Hain Wo Mahkhane Mein Kadam,
Jaam Saaki Jinhe Aankhon Se Pilaya Karte Hain.
Hum To Bas Ik Bewafa Kee Yaad Mitane Ko,
Sharab Mein Ashq-E-Gham Milaya Karte Hain.
Chashm-E-Mayaguun Zaraa Idhar Kar De
Dast-E-Kudarat Ko Be-Asar Kar De
Tez Hai Aaj Dard-E-Dil Saaqii
Talkhi-E-May Ko Tez-Tar Kar De
Chahat Ki Yaro Saza He Alag Hai
Dil Ke Tarapnay Ka Maza He Alag Hai
Abhi Wo Hain Shola Abhi Wo Hain Shabnam
Haseeno Ki Ae Dil Ada He Alag Hai
Jannat Main Bhee Bhala Sharab Ka Kyaa Kaam
Wahan To Ghum Ke Bus Yaad Hi Rah Jayegi
Ab Jo Tu Lauta Bhee Ae Bewafa To Kyaa Hasil
Teri Sohbat Main Teri Judai Ke Khalish Satayegi
Aaj Manaa Kartey Hain
Mere Dost Peeney Ke Liye
Jo Kabhi Piya Kartey The
Mere Saath… Jeeney Ke Liye
Haatho Mein Nahi Taaqat, Aankho Mein To Dum Hain
Rehne Do Abhi Saagro-Meena Mere Aage
Jaahid Sharab Peene Se Kaakir Hua Mai Kyon
Kya Ded Chullu Pani Mein Emaan Beh Gaya
Duriyaa Aasani Se Mitati Hai “Sharaab”,
Majburiyon Ko Nashe Me Nachati Hai “Sharaab”
Aansuwo Ko Mila De Tu Apne Har Ek Jaam Me,
Fir Dekh Kaise Yaadon Ko Aur Kareeb Lati Hai “Sharaab”…..
Thake Chuke Hai Jo Is Duniya Ke Sitamo Se,
Unhe Do Pal Ki Rahat Dilati Hai “Sharaab”…..
Nazaron Se Nazaaron Ke Jaam Peeta Hoon,
Jab Aaye Mehfil Mein Tera Naam, Peeta Hoon.
Har Din Na Peeta Yahaan Main Yaaron,
Bas Jab-Jab Dhalti Ye Shaam,Peeta Hoon.