Tujh Se Shikayat Nahi Zamana Kharaab Hai
Jalta Hua Yeh Dil Hai Muhabbat Ki Aag Hai
Main Tera Hi Raha Bulaya Na Jaa Saka
Milna Na Ho Saka Kisi Ka Saraab Hai
Pee Ke Ladkhadaye Jo Kabhi Yaaron …..
Maikhaane Mein Pyar Ki Ruswaai Hogi…..
Sunana Na Ye Dastaan-E-Mohabaat…..
Imaan-E-Wafa Ki Behayaai Hogi…..
Ahi Chahiye Hume Aapki Humdardi Ab
Kahan Theey Aap ,Jab Hume Zaaroorat Thi Aapki
Chale Gaye Kisi Begane Ke Saath Hume ****D Ke
Tab Shaarab Jaagah Le Li Aapki..
Taza Mohabbaton Ka Nasha Jism-O-Jaan Mein Hai
Phir Mausam-E-Bahar Mere Gulistaan Mein Hai
Ek Khvaab Hai Ke Baar-E-Digar Dekhte Hain
Ek Aashnaa Sii Raushnii Saare Makaan Mein Hai
Aa Jara Aaj Mujh Ko Pila De
Kuch To Ulfat Ka Aaker Sila De
Khel Hoga Tumhara Ye Lekin
Teri Furkat Na Mujh Ko Jala De
Dosti Jab Kisi Se Ki Jaye
Dushmano Ki Bhi Raaye Lee Jaye
Maut Ka Zahar Hai Fizaon Mein
Ab Kahan Ja Ke Saans Lee Jaye
Mann Ke Samandar Me Hilore Maarta
Ufanta Simatta Paav Pasarta Tumhara Pyar
Kabhi Band Kitaab Sa Dheere-Dheere
Khulta Hua Kabhi Mitti Ki Sondhi Mahek Sa
Kasam Lekar Waapas Aane Ki Woh Chalte Ho Gaye
Hum Toh Tabse Yaron Aabaad Jakhmon Se Ho Gaye
Saanse Chalti Bhi Nahi Naa Rukti Hai Seene Main
Jiye Toh Kaise Boaz Dil Par Kaafi Ho Gaye
Ye Sila Mila Hai Mujh Ko Teri Dosti Ke Peechey
Ke Hazaaron Gham Lagey Hain Mairi Zindagi Ke Peechey
Na To Dil Ka Koi Maqsad Na To Mairi Koi Manzil
Main Chala Hoon Kyun Na Jaaney Kisi Ajnabi Ke Peechey
In Aankhon Ki Masti Ke Mastaane Hazaaron Hain
In Aankhon Se Vaabastaa Afasaane Hazaaron Hain
Ik Tum Hi Nahin Tanhaa Ulafat Mein Meri Rusavaa
Is Shahar Mein Tum Jaise Divaane Hazaaron Hain