Tumhe Aaj Phir Dil Se Chaha,
Ahsaas Kaya Tumko Hai,
Agar Jaante Ho Mere Dil Ka Haal,
Phir Bhi Na Khayal Tumko Hai,
Wo Mujh Se Meri Udasiyon Ki Wajah Puchti Hai
Kitni Pagal Hai Raat Ke Sannate Ki Wajah Puchati Hai
Wo Mujh Se Meri Aanso’on Ki Wajah Pucthi Hai
Kitni Pagal Hai Barish Ke Barasne Ki Wajah Puchti Hai
Gubaar Udaata Waqt Ka Kaarwaan Guzar Gaya
Ham Takte Hi Rahe Aur Dauraan Guzar Gaya
Raahon Mein Mere Waste Hai Kaante Hi Kaante
Jindagi Ke Safar Mein Gulsitaan Guzar Gaya
Teri Bewafai Ka Ashiqui Ka Maatam Hain
Zindagi Ki Rahoh Mein Zindagi Ka Matam Hai
Roh Rahe Hai Dushman Bhi Meri Maiyaat Peh
Aakeh Dekhleh Harzai Teri Berookhi Ka Maatam Hain
Kaante Hi Chubhan De Jaroori To Nahi,
Phool Bhi Nashtar Chubhote Hain.
Barish Hi Bhigoe Tan-Man Jaroori To Nahi,
Aansoo Bhi Daaman Bhigote Hain.
Apnay Aansoon Ko Dafan Kar Aaya Hoon Main
Usay Kisi Aur Ki Dulhan Bana Deykh Aaya Hoon Main
Soocha Tha Lagay Gi Mehndi Jin Haathon Main Naam Ki
Us Main Kisi Aur Ka Naam Dekh Aaya Hoon Main
Khaamoshii Kah Rahii Hai Kaan Mein Kyaa
Aa Rahaa Hai Mere Gumaan Mein Kyaa
[Gumaan=thought]
Read Full ShayariYe Faasla Bhi Ab Yun Humen, Sanam Sa Lagta Hai….
Hokar Juda Beeta Pal Humen, Janam Sa Lagta Hai…
Harsu Ek Nasha Mujhe Leta Yun Apni Bahon Main…
Karma Tera Intzaar Bhi Humen, Karam Sa Lagta Hai…
Hum Bas Yun Hi Aapki Raha Takate Rahe
Pyar Ke Payase Adhar Raat Bhar Jalte Rahe
Teri Baahonn Mein Simatne Ko Mere Dil-O-Jaan Tarsate Rahe
Neend Bhi Nayano Ke Daware Se Aake Laut Gayi
Ham Tutate Taaron Ke Saath Shab Per Pighalte Rahe
Pyar Ke Payse Adhar Raat Bhar Jalte Rahe…………..
Main Geet Milan Ke Bas Saajati Rah Gayi
Hirdaye Ki Peera Ko Bas Teri Jhoote Baato Ke Bol Harte Rahe
Asha Nirasha Mein Uljhati Raat Meri Dhalti Rahi
Apne Adharo Ki Jalan Ko Ham Aansuo Se Bheegote Rahe
Pyar Ke Payase Adhar Raat Bhar Jalte Rahe………..
Tum Samajhte Nahi Mere Dil Ki Haalat Ko Kabhi
Aur Yeh Chaahate Ho Main Koi Sawaal Na Tumse Karun
Main Bhi Sochti Hoon Chhod Doon Tumse Kuch Bhi Kehna
Magar Yeh Kaise Hai Mumkin K Main Pyaar Naa Main Tumse Karoon