Hum Pe Ab Tak Jo Uski Ek Mulakaat Ka Saroor Hai,
To Laazmi Hai Ye Ki Use Bhi Khud Pe Guroor Hai,
Meri Shaksiyat Mein Kuch To Tera Bhi Zaroor Hai,
Jo Dekh Sabhi Kahe Tera Mehboob Magroor Hai,
Adaayein Bhi Unki Hain Unhi Ki Tarah Ajeeb Si,
Dil Todh Ke Puche Jo Vo, Ki Kya Haal Huzoor Hai,
Khataayen Tujhse Huyi, Par Likha To Us Khuda Ne,
Yahi Sochu Begunaah Kaun, Kiska Kasoor Hai,
Tu Bhi Sang Lukka Chhipi Khelti Hai Saaye Ki Tarah,
Idhar To Kabhi Udhar, Pass To Kabhi Kitni Door Hai,
Yaad Ne Aapki Fir Jo Dil-O-Dimaag Pe Dastak Di Hai,
Pakki Baat Hai Ki Kisi Nek Khabar Ka Zahoor Hai,
Wo Sawaal Puch Ke Humein Bhi To Aazmaye Kabhi,
Kahunga Manjoor Hai, Manjoor Hai, Manjoor Hai,
Ye Maah-O-Mehtaab To Saare Faqeer Hain Yahaan,
Inko Bhi Hui Tujhse Hi Haasil Ye Tapish, Ye Noor Hai.
Andhera Kaise Ho Un Raahon Mein Unki Khaatir To,
Ab Har Sitaara Bhi Jugnu Banne Ko Majboor Hai.
Kyun Mil Nahi Paate Do Dil Kabhi “Taish” Unme,
Kissa Mohabbat Ka Yahaan Jo Bhi Mashoor Hai.
By Taish
More Shayari by Taish