Ab Sirf Tera Hi Ho Jana Chahta Hoon Main…

Posted on 18 Aug 2012 | Author: | Ghazals & Lyrics, Ishq Shayari

Mita Ke Khud Ko Tujhe Pana Chahta Hoon Main,
Hamesha Mohabbat Ke Kam Aana Chahta Hoon Main,

Tumhari Chahat Khwab-E-Zindagi Ban Gayi Meri,
Har Pal Ek Hi Khawab Sajana Chahta Hoon Main,

Tumhe Dekh Kar Sachi Mohabbat Ka Ehsas Hua,
Hath Tham Ke Rah-E-Wafa Pe Jana Chahta Hoon Main,

Log Kehte Hain Mohabbat Dard Ka Doosra Naam Hai,
Teri Chahat Mein Doob Ke Muskurana Chahta Hoon Main,

Mohabbat Tumse Kitni Hai Mujhe Ye Puchho Na Raaj,
Ab Sirf Tera Hi Ho Jana Chahta Hoon Main.

By Rajnish Raaj

Hindi Version

मिटा के खुद को तुझे पाना चाहता हूँ मैं,

हमेशा मोहब्बत के काम आना चाहता हूँ मैं,

तुम्हारी चाहत ख्वाब-इ-ज़िन्दगी बन गई मेरी,

हर पल एक ही खवाब सजाना चाहता हूँ मैं,

तुम्हे देख कर सची मोहब्बत का एहसास हुआ,

हाथ थाम के राह-इ-वफ़ा पे जाना चाहता हूँ मैं,

लोग कहते हैं मोहब्बत दर्द का दूसरा नाम है,

तेरी चाहत में डूब के मुस्कुराना चाहता हूँ मैं,

मोहब्बत तुमसे कितनी है मुझे ये पूछो न "राज",

अब सिर्फ तेरा ही हो जाना चाहता हूँ मैं।




Mast Photos For You

Blue Loving Birds Couple Guess Who Is Pregnant? Where Is My Phone? Sweet Desi Kudi Smiling In Green Top Jyaada Chatting Karne Walo Ka Haal

Shyari SMS Version

There Is No SMS Version For This Shayri.
Receive Daily Shayari By eMail
Or Send JOIN ShersDotIn To 987O8O7O7O To Receive Shayari In SMS.



Leave a Reply